Recent Posts

Ramadan Hadees

0





1.Hadees Mubarak:
"Beshak jo shakhs Allah k rastey me aik din bhi roza rakhay Allah us ko dozakh se 70 saal ki musaafat k brabr dur kr deta hai."
(Sahi Bukhari)


Hadees “Jo Rozedar bhool ker agar kuch Kha-Pee ley to ussy chahiye k wo apna Roza pora kare Q K usy ALLAH ne Khilaya Pilaya hai” (Sahi Bukhari Kitabu Saum:1894).

Hazrat Umar (RA) Nay Pocha keh Peer(Monday) k Din or Jum-e-Raat(Thursday) k Din ka Roza(Fast) rakhna Kesa Hai?
Hazrat Muhammad SAWW Nay Fermaya
“Is Din (Yani Peer k Din) Meri Pidaish(Birth) Hoe or Us Din Mujh Per Quraan Nazil Hoa” (Sunan Abu Dawood. Jild #2 Hadees #654)


Hazrat Abu Huraira say Rawayet Hai keh
Rasool Allah Salalaho Alihi Wasalum Nay Irshaad Fermaya
“Jo Admi(Person) Rozay(Fasting) Ki Halet Mai Bhool Jaey or Kah Pee (Eat) Lay, Tu Usay Chahiay Keh Wo Apna ROza(Fast) Pura(Compelete) Kr Lay Q keh Us Ko Ye Allah Nay Khilaya Pilaya Hai”
(Sahih Muslim Jild #2 Hadees #222)


Hazrat Abu Huraira say Rawayet Hai keh
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Nay Fermaya.
“Jeb Tum Mai Say Kisi Ko Koi Kahnay(Meal) Ki Teref Bulaye, Us Haal Mai Keh Wo Roza Daar Ho Tu usay Cahiay K Wo Kahay keh Main Roza Daar Hoon”
(Sahih Muslim Jild #2 Hadees #208)


Hazrat Abdul Aziz, Hazrat Anas (RA) say Rawayet Hai keh
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Nay Fermaya “Keh Sehri Kahya Kro Q keh Sehri K Kahnay Mai Barket Hoti hai”
(Sahih Muslim Jild #2 Hadees #55)

Qutaiba Bin Saeed Hazrat Umar (RA) say Rawayet Hai keh
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Nay Fermaya
“Humaray Rozay Or Ahl-e-Kitab K Rozay K Darmiyaan Sehri Kahnay Ka Ferq(Difference) Hai”
(Sahih Muslim Jild #2 Hadees #56)



0 comments: